sunahra hi sunahra wada-e-farda raha hoga qayas-arai ka be-sakhta lamha raha hoga samundar mein chune moti na taron ka jahan dekha zarur school mein takhil par pahra raha hoga kaha tha jis ne tum se han main tum se pyar karta hun mere andar chhupa ek be-dhadak ladka raha hoga main ab bhi darte darte apne haq ki baat karta hun meri talim mein dar ka bada hissa raha hoga tumhaari bazm se ghusse mein uth ke aa gaya tha main na jaane baad mein kis qism ka charcha raha hoga gaya hai chhod kar mahfil kuchh itni be-dili se wo ki bahar bhid mein bhi waqai tanha raha hoga wo jis ne mujh ko registan mein pani pilaya tha mujhe lagta hai khud wo mehrban pyasa raha hoga