khwab se hai kab alag ye zindagani dekhiye film ke parde pe chalti hai kahani dekhiye aasman suraj qamar tare zamin-o-kahkashan ye jahan-e-rang hai is ki nishani dekhiye kasb ka hasil kahan ye fazl rab ka jaaniye pahle kab sheron mein thi aisi rawani dekhiye hain qamar ki manzilen ya phir zamin ki gardishen waqt ki tarif kya dariya ka pani dekhiye kaun hai wo jis talak dast-e-qaza pahuncha nahin kahkashan shams-o-qamar ye sab hain fani dekhiye na-muradi kaamrani zindagi ke baad hai zindagi ke roz-o-shab hain imtihani dekhiye