lafzon ki tah mein surat-e-izhaar dekhna har-har qadam pe rah mein diwar dekhna diwar-o-dar gharon ke hain wahshat-zada sabhi lekin saje hain kucha-o-bazar dekhna wo ilm jo ki khauf-e-khuda se tahi rahe be-nafa jins-e-kham hai be-kar dekhna kha jaega zamin ki sari hi raunaqen badhta hua ye barf ka ambar dekhna tum ko lubha rahi hain ye shahron ki raunaqen shahron se log kitne hain bezar dekhna apne bane the kaise ghalazat-fashan raqib 'jawed' mustafa ka wo kirdar dekhna