KHwabon ke sath zehn ki angDaiyan bhi hain

khwabon ke sath zehn ki angdaiyan bhi hain
ek raushni bhi hai kai parchhaiyan bhi hain

ye kaenat khud bhi hai ek paikar-e-jamil
aur kuchh tere jamal ki ranaiyan bhi hain

duba hua hun qulzum-e-alam mein magar
zer-e-qadam hayat ki parchhaiyan bhi hain

jadu jagati raat ke sayon ke aas-pas
larzan tumhaari yaad ki pahnaiyan bhi hain

aata nahin shabab yunhi kaenat par
masruf kar-e-ishq ki barnaiyan bhi hain

sham-e-bala na mujh se chura is tarah nigah
tanha nahin hun main meri tanhaiyan bhi hain

hain teri anjuman mein hamein ek fasurda-dil
lekin hamin se anjuman-araiyan bhi hain

'hurmat' faqat bulandi-e-ehsas hi nahin
meri talab mein ruh ki gahraiyan bhi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close