lutf ho gar tu ho aur mai-khana ho main hun aur mera dil-e-diwana ho jis zaban par ho tera afsana ho koi ho apna ho ya begana ho yan to hai didar se teri gharaz dair ho kaba ho ya but-khana ho jis ko dekha jalte hi dekha yahan shama ho aashiq ho ya parwana ho hum ko to do-gaz zamin darkar hai shahr ho basti ho ya virana ho daur-e-saqi mein kise gardish nahin shisha ho saghar ho ya paimana ho kya qayamat ho jo 'anjum' hashr mein koi saudai koi diwana ho