ye zakhm hain ki phul hain ye zahr hain ki jam hain magar ye mere sher ab faqat tumhaare nam hain na tum se ho ki mil sako na mujh se ho ki waqt dun tumhein bhi kitne kaam hain mujhe bhi kitne kaam hain wo maslahat-shanas tha so us ka dosh kuchh nahin ye shahr bhar ki tohmaten meri wafa ke nam hain main us ko yaad jab karun ghazal ke dip jal uthen nisar is khayal par ki lafz bhi ghulam hain wo barishen agarche ab kisi ki ho chukin magar ye mere dil ke raste hanuz tishna-kaam hain ai kam-nazar na sarsari nazar se dekh tu ki hum sahar ka ujla nur hain shafaq mein lipti sham hain ab un se kya baghawaten ab un se kya adawaten ki wo faqih-e-shahr hain wo waqt ke imam hain