KHwabon se KHafa rahti hai tabir hamari

khwabon se khafa rahti hai ta'bir hamari
le aai kahan hum ko ye taqdir hamari

aabaad kharabe se hi hum ahl-e-junun hain
takhrib mein poshida hai ta'mir hamari

rakkha hai use sina-e-sad-chaak mein ek 'umr
tuti na kabhi tis ki zanjir hamari

ai kash ki wo aaen kabhi bazm-e-sukhan mein
ho hijr ke 'unwan pe taqrir hamari

dekho na haqarat se hum aashufta-saron ko
kahte hain jise 'ishq hai jagir hamari

zalim ne badal dala hai andaz-e-sitam ab
pahnata hai hum ko hi wo zanjir hamari


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close