khwah mahsur hi kar den dar-o-diwar mujhe ghar ko banne nahin dena kabhi bazar mujhe main ise dast-e-adu mein nahin jaane dunga sar ki qimat pe bhi mahngi nahin dastar mujhe main jo chalta hun to aankhen bhi khuli rakhta hun itna sada bhi na samjhen mere salar mujhe phir tawazun mein rahegi meri naw kab tak jab dubone pe tule hain mere patwar mujhe ya zamana meri taqlid mein aa niklega ya kahin ka na rakhenge mere meayar mujhe ab mera hijr mujhe sath liye phirta hai jaiye ab koi sathi nahin darkar mujhe is tarah sochte rahna nahin achchha 'shahzad' fikr-e-sehhat hi na kar de kahin bimar mujhe