sar-nigun mausam-e-bahaar mein hai ye shajar kis ke intizar mein hai tab-e-nazzara aankh ko bhi nahin dil bhi kab apne ikhtiyar mein hai zist ho baat ho ki majlis ho lutf gar hai to ikhtisar mein hai wo bas ek bar chhu ke guzre the ruh tak lams ke khumar mein hai kaisa ulta safar hai jiwan ka ye chadhaw kisi utar mein hai zist karne mein lutf kya dhundhen kya maza waqt-e-mustaar mein hai baat kuchh to ajib hai ab ke kaisi talkhi mizaj-e-yar mein hai