wahshat-e-gham mein sukun zist ko milta bhi kahan tha bayaban mein diwar ka saya bhi kahan ek muddat se na yaad aai na jaan tadpi hai dil tujhe bhul gaya ho magar aisa bhi kahan husn bhi wo na raha pahla sa dildar-e-hunar aah pahli si wo ab azmat-e-tesha bhi kahan maslahat-bin hai agar ishq-e-junun-pesha to kya ab wo pahle ki tera wusat-e-sahra bhi kahan koi manzil hi na thi manzil-e-gham se aage qafila apni tamannaon ka rukta bhi kahan ghair-mahdud khalaon mein safar karta hun aur rasai ka ye aalam hai ki bhatka bhi kahan nikhat-o-nur se mamur faza hai phir bhi to ki is rahguzar se abhi guzra bhi kahan haram-o-dair se ye sar jo kashida aaya jhuk gaya dar pe tere aur ye jhukta bhi kahan khak udata hai abhi dasht-e-talab hi mein 'salam' dil-e-ruswa ye hua hai abhi ruswa bhi kahan