khwah sach jaan meri baat ko tu khwah ki jhut sach kahun sach ko agar tere to wallah ki jhut sach agar bole tu hum se to bhala kya ho khushi ji mein ji aata hai sun kar tera har gah ki jhut rast gar puchhe to hai rast ki tujh mein nahin mehr apni hat-dharmi se kahta hai tu ai mah ki jhut jhut-mut un se main kuchh maslahatan bolunga sach hai tu bol na uthiyo dil-e-agah ki jhut main jo puchha ki tujhe ghairon se hai rah to wo pher kar munh ko laga kahne be-ikarah ki jhut koi itna bhi bura karta hai meri hi tarah kyun bhala sach hai na ye ai but-e-dil-khwah ki jhut dil to waqif hai bahut wan se tuk ek sach kahna lawbaali hai mere yar ki dargah ki jhut mujh se jab milta hai tab chhed ke puchhe hai yahi ye 'hasan' sach hi to rakhta hai meri chah ki jhut kya jawab us ka mere pas ba-juz khamoshi ya magar ye ki yahi har gah kahun aah ki jhut