un ke jalwe nigahon mein dhalte rahe hausle dil hi dil mein machalte rahe doston ne to kante bichhae bahut muskuraate hue hum bhi chalte rahe koi phulon se daman ko bhar le gaya hum khade bagh mein hath malte rahe is ki bharpur alhad jawani pe hum muskuraate sisakte machalte rahe raste manzilen dur hoti gain meri fitrat mein chalna tha chalte rahe ashk bahte rahe dil dhadakta raha raat-bhar karwaten hum badalte rahe umr yun hi guzarti rahi 'shaziya' chot khate rahe aur sambhalte rahe