munh se parda na uthe sahab-e-man yaad rahe phir qayamat hi ayan hai ye sukhan yaad rahe chhodo itni na zaban ghuncha-dahan yaad rahe phir hamare bhi dahan hai ye sukhan yaad rahe kucha-gardon mein nahin hum jo ye kucha chhoden khak karna hai hamein yan hai badan yaad rahe ahd aane ka kiya hai to girah band mein de is se shayad tujhe ai ahd-shikan yaad rahe aap ke kuche ko hum kaba-e-maqsud samajh bhul baithe hain sab aaram-e-watan yaad rahe harf uth jaane ka kah baithe ho ab to lekin phir na kahiyega kabhi qibla-e-man yaad rahe sau chaman ek faqat mukhde mein us ke hain 'nazir' jab ye surat ho to phir kis ko chaman yaad rahe