ki khub wafa hum se li khub khabar tu ne din-raat sitam dhae ai bani-e-shar tu ne kya hum ne bigada hai kyun hum ko satata hai kyun zulm par ai zalim bandhi hai kamar tu ne ai maut tajjub hai jo zinat-e-gulshan hai kate wo shajar tu ne tode wo samar tu ne allah ke bandon par ai but ye sitam tere rakkha na qayamat ka kuchh khauf-o-khatar tu ne is teri banawat se hai saf hamein zahir aashiq ke mitane par bandhi hai kamar tu ne be-kar hain ye nale be-sud hain ye aahen khincha na agar un ko ai jazb-e-asar tu ne dil mera jalaya kya afsos hazar afsos barbaad kiya ai but allah ka ghar tu ne jo baad-e-fana tere kuchh kaam nahin aaya kyun jama kiya munim wo mal wo zar tu ne hum dard-e-mohabbat se tadpa hi kiye lekin allah re bedardi dekha na idhar tu ne 'sabir' ye himaqat hai hai ye teri nadani apne ko jo samjha hai har ek se dar tu ne main sabr ka khugar hun hai nam mera 'sabir' jabir hai to paya hai patthar ka jigar tu ne