takhliq kise kahte hain hai azmat-e-fan kya aawaz-faroshon ke liye sher-o-sukhan kya phulon ki tijarat ka chalan aam hai ab bhi lutti hi rahegi yunhi taqdis-e-chaman kya mazlum ki chikhon ko bhi sunta nahin koi is shahr mein baste hain sabhi sang-badan kya hum aa to gae ban ke ziya zulmat-e-shab mein is ghor andhere mein magar ek kiran kya waqt aane pe sar apna kata dete hain 'rahbar' hum ko nahin malum ki hai hubb-e-watan kya