raushni tak raushni ka rasta kah lijiye raat ko sham-o-sahar ka fasla kah lijiye de gai kitni bahaaren ek fasl-e-arzu rang-o-bu ko mausamon ka khun-baha kah lijiye gunjti hai umr-e-viran mein tamanna ki thakan harf-e-gham ko gumbad-e-jaan ki sada kah lijiye kund aakhir kar gain talwar ko khun-reziyan dosti ko dushmani ki intiha kah lijiye baal-o-par khulte nahin jin ke nasheman ki taraf un udanon ko hawaon ki ghiza kah lijiye mausam-e-gul dekhiye khulte darichon ke tale baam-o-dar ko shahr ki aab-o-hawa kah lijiye kuchh nahin milta 'samad' patthar ko teshe ke siwa aazari ko aazari nam-e-khuda kah lijiye