ki tu ne lab-kushai to kis ke huzur ki ab kirchiyan samet dil-e-na-subur ki kis ke lahhu mein sham naha kar hai surkh-ru kis ne chukai khun se qimat ghurur ki sadiyon se kis ki qabr pe girya-kunan hai raat leta hai kaun odh ke chadar ye nur ki ilm-o-kamal aap ki miras kya kaha parten na kholiye mere tahtush-shuur ki taqdir jitna chahe mujhe dar-ba-dar kare mitti se khu na jaegi burhan-pur ki phir ba-adab hain lafz-o-maani mere huzur phir fauj utar rahi hai khayal-e-tuyur ki tafhim aan-janab ye 'ghaalib' ka sher hai kuchh an-kahi bataiye bainassutur ki hum khud se ham-kalam hoe kam nahin 'nadim' jawen kalim sair karen koh-e-tur ki