na-ashna-e-dard nahin bewafa nahin ek aashna ki hae mera aashna nahin laun jo dil ki baat zaban par to kis liye main jaanta nahin hun ki tu jaanta nahin jalta raha hun zist ke dozakh mein umr bhar ye aur baat hai meri koi khata nahin ek saghar-e-hayat ki khatir tamam umr wo kaun sa hai zahr jo main ne piya nahin shayad darud-e-fasl-e-bahaaran qarib hai ahl-e-junun ne chaak-e-gareban siya nahin husn-e-urus-e-gul ki jamal-e-saman-baran duniya mein kuchh bhi zauq-e-nazar ke siwa nahin tere harim-e-naz ki us ko khabar ho kya jo sarhad-e-khayal se aage gaya nahin 'rifat' jahan mein rasm-e-wafa hi nahin rahi un se to kya kisi se bhi mujh ko gila nahin