kya kisi mai-kash ne mangi hai dua barsat ki mai-kada-bardosh aati hai ghata barsat ki kyon hawa bandhe na ab har parsa barsat ki be-piye madhosh karti hai faza barsat ki ek muddat se hamein bhula hua tha mai-kada kuchh taqaza kar rahi hai phir hawa barsat ki yun udaya ja raha tha mere rone ka mazaq aaj us ne baat chhedi barha barsat ki shaghl-e-mai-noshi hai jaez is liye barsat mein kuchh to pina chahiye kha kar hawa barsat ki dahr mein ye do hi chizen hain dalil-e-barshgal ya hamari chashm-e-giryan ya ghata barsat ki milti-julti hai hamari chashm-e-giryan se bahut ek zara paband-e-mausam hai ghata barsat ki sawan aate hi jo hum roe kisi ki yaad mein ho gai 'sahir' yahin se ibtida barsat ki