kinare tod ke bahar nikal gaya dariya lakir chhod ke ye kis taraf chala dariya ab is se pahle samundar se ja ke mil pata khud apni pyas mein hi gharq ho gaya dariya mere badan ka samundar to khushk hota gaya rawan dawan hi raha meri soch ka dariya use kabhi na samundar ki justuju hoti tahon mein apni utar kar jo dekhta dariya khulus hai ye to us ka kahan ki majburi rihai ka hai samundar ko rasta dariya use main dur hi se dekhta raha 'sani' jo aaj pani mein utra hun to khula dariya