sukh dukh mein garm-o-sard mein sailab mein bhi hain yaaden tumhaari mausam-e-shadab mein bhi hain hone lagi shikast jo har mod par mujhe dushman pata chala mere ahbab mein bhi hain daman ko pak rakhne ke haq mein tha main magar wo kah rahi thi dagh to mahtab mein bhi hain dilli sukhan-waron ka hai markaz magar miyan urdu ke kuchh charagh to punjab mein bhi hain rangin martaban mein ye khush nahin to kya kuchh machhliyan udas to talab mein bhi hain