wapas jo nahin aaega mein wo safari hun ai dost gale lag ki charagh-e-sahari hun ai husn ye andaz-o-ada tujh mein kahan the main tere liye aaina-e-ishwa-gari hun badhti hui tahrik-e-siyasat mujhe samjho elan-e-baghawat pae bedad-gari hun duniya ke liye jo hai ujalon ka payambar zulmat-kada-e-shab mein wo najm-e-sahari hun rangini-o-khush-pairahni hai mere dam se gulshan mein kali tum mein nasim-e-sahari hun hairat se na kyun dekhe mujhe sara zamana parwarda-e-aghosh-e-kamal-e-bashari hun tum bhi ho adaon ki kashakash mein giraftar kya fikr jo main qaidi-e-ashufta-sari hun