tere qarib bhi dil kuchh bujha sa rahta hai gham-e-firaq ka khatka laga sa rahta hai na jaane kab nigah-e-baghban badal jae har aan phulon ko dhadka laga sa rahta hai hazaron chand sitare nikal ke dub gae nagar mein dil ke sada jhutputa sa rahta hai tumhaare dam se hain tanhaiyan bhi bazm-e-nashat tumhaari yaadon ka ek jamghata sa rahta hai wo ek nigah ki mafhum jis ke lakhon hain usi nigah ka ek aasra sa rahta hai tumhaare ishq ne 'mumtaz' kar diya dil ko ye sab se mil ke bhi sab se juda sa rahta hai