kis ajab saat-e-nayab mein aaya hua hun tujh se milne main tere khwab mein aaya hua hun phir wahi main hun, wahi hijr ka dariya-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-ab mein aaya hua hun kaise aaine ke manind chamakta hua main ishq ke shahr-e-abad-tab mein aaya hua hun meri har tan hai az-roz-e-azal ta-ba-abad ek sur ke liye mizrab mein aaya hua hun koi parchhain kabhi jism se karti hai kalam? be-sabab saya-e-mahtab mein aaya hua hun har guzarte hue lamhe mein tapakta hua mein dard hun, waqt ke aasab mein aaya hua hun kaisi gahrai se nikla hun adam ki 'irfan' kaise payab se talab mein aaya hua hun