san li sada-e-koh-e-nida aur chal pade hum ne kisi se kuchh na kaha aur chal pade sae mein do ghadi bhi na thahre guzarte log pedon pe apna nam likha aur chal pade thahri hui faza mein ulajhne laga tha dam hum ne hua ka git suna aur chal pade tarik raston ka safar sahl tha hamein raushan kiya lahu ka diya aur chal pade rakht-e-safar jo pas hamare na tha to kya shauq-e-safar ko sath liya aur chal pade ghar mein raha tha kaun ki rukhsat kare hamein chaukhat ko alwidaa kaha aur chal pade 'makhmur' wapsi ka irada na tha magar dar ko khula hi chhod diya aur chal pade