mahfil ka buton ki kya kahna hum dil ko jahan gum kar baithe khud apni pareshani se wahan saman-e-tabassum kar baithe gharqab to hona tha aakhir tufan na jaane kab aata khud apna safina le ja kar hum nazr-e-talatum kar baithe ye ahl-e-sitam ki duniya hai afsana-e-gham hai be-mani anjam na socha kuchh dil mein aaghaz kahan tum kar baithe is nazm-e-gulistan par hum ko aati hai hansi bhi rona bhi phulon ki do-roza zinat par kante bhi tabassum kar baithe jab marna hai to marna hai zinda rah kar kya karna hai hum ko jo fana ki yaad aai jine se tasadum kar baithe wo soz kahan wo saz kahan dil ahl-e-tarab ka tut gaya mahfil mein ruth ke baithe kya tum khatm tarannum kar baithe hai sang-dilon ki mahfil mein izhaar-e-dard-e-dil kaisa ye baat kahan ki thi 'khushtar' aur aa ke kahan tum kar baithe