kya kahun jazbaat ka tufan kitna tez hai dil ba-hadd-e-be-khudi ehsas se labrez hai ishq ki duniya mein har taklif rahat-khez hai iztirab-e-dil bhi ek had tak sukun-amez hai didani hai ab shikast-e-zabt ki be-chaargi muskuraata hun magar dil dard se labrez hai dil nigah-e-naz ke uthne se pahle uth gaya mere ehsasat ki raftar kitni tez hai aankh mein aansu jigar mein dard dil mein iztirab aah zabt-e-ah bhi kitna talatum-khez hai ishq ki sada-dili hai har taraf chhai hui bargah-e-husn mein har aarzu nau-khez hai