kis kis lau par kathi bandhi kis kis ko di bag tum kya jaano hum ne qabu ki hai kaisi aag das poren betabi se phailaen lakhon jal jab raushan parde par ghat lagae koi ghag pili padte padte main sone mein dhalti jaun phir pahre par aa baithe wo kalghi wala nag label wo jaisa bhi odhe ho jae ehsas is botal mein jin hai is ka ud jaana hai kag phir pani mein dal madhani baith gae hain dost phir meri roti par chupdenge ye phike jhag is basti ki chikni mitti khole nahin bhed kis darwaze par dastak se khul sakte hain bhag sarson ke phulon mein ek gulabi lahr chale jab rangon se ruthi nari todan aae sag kis chullu mein dale jaen sat suron ke ashk kin hathon mein aakhir thanda hoga dipak rag