kuchh munh se dene kah wo bahane se uth gaya harf-e-sakhawat aah zamane se uth gaya hai us ke dekhne ki hawas kya ghazab ki aah jo tund-khu tuk aankh uthane se uth gaya puchhi jo us se main dil-e-sad-chaak ki khabar uljha ke apni zulf wo shane se uth gaya kahiyo saba jo howe guzar yar ki taraf dil sab taraf se aap ke jaane se uth gaya paya jo muztarib mujhe mahfil mein to wahin sharma ke kuchh wo apne-begane se uth gaya hota tha apne jaane se jis ko qalaq so hae ghabra ke aaj kya mere aane se uth gaya hamdam na mujh ko qissa-e-aish-o-tarab suna muddat se dil kuchh aise fasane se uth gaya jab tak tu aae aae ki duniya hi se koi le jaan tere der lagane se uth gaya 'jurat' hum is zamin mein kahte hain aur sher har-chand ji sukhan ke badhane se uth gaya