tere dar pe jalwa jo hum dekhte hain khuda ki khudai mein kam dekhte hain jo hum shab ko khwab-e-adam dekhte hain to har samt sair-e-iram dekhte hain pas-e-marg khalwat mein baithe hain aise na wo dekhte hain na hum dekhte hain tumhaari si surat tumhaari si sirat hasinon ke jamghat mein kam dekhte hain nazar ki nazar se hai hasrat bhara dil nazar bhar ke un ko na hum dekhte hain na manunga jage kahen raat bhar ho bhari nind aankhon mein hum dekhte hain shab-e-hijr rote guzarti hai 'shabnam' fana hi fana subh-dam dekhte hain