kis ka bhed kahan ki qismat pagle kis janjal mein hai bazi hai ek sada-kaghaz sara kartab chaal mein hai ek rahen ya do ho jaen ruswai har haal mein hai jiwan rup ki sari shobha jiwan ke janjal mein hai tujh se bichhad kar tujh se mil kar donon mausam dekh liye baat jahan thi ab bhi wahin hai farq zara sa haal mein hai aakhir upri hamdardi ko rang to ek din lana tha baat thi pahle chand gharon tak ab duniya bhaunchaal mein hai tum apni aankhon ki lali phulon mein taqsim karo mere dil ka haal na puchho rahne do jis haal mein hai jiwan bhedan ki chinta chhodo aao kuchh is par baat karen hum dharti ke phande mein hain dharti kis ke jal mein hai 'anjum' pyar jise kahte hain us ke dhang nyare hain chup mein hai sukh chain na koi rahat qil-o-qal mein hai