mohabbat kar chuki hai kaam apna

mohabbat kar chuki hai kaam apna
mujhe malum hai anjam apna

nahin is mai-kade mein kaam apna
jahan mai ho parai jam apna

mohabbat to mohabbat hi rahegi
zarurat kuchh bhi rakh le nam apna

muqaddar bhi badalna jaante hain
guzarish hi nahin hai kaam apna

jo khud apni nazar se gir chuke hain
unhen bhi gardish-e-ayyam apna

tum aur ye zahmat-e-tajdid-e-alam
mujhi ko saunp dete kaam apna

pareshani muqaddar ban chuki hai
pareshani mein dhund aaram apna

khudai rukh badalna chahti hai
mere mathe pe likh do nam apna

zamana de na de paigham 'anjum'
zarurat khud karegi kaam apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close