kis ke liye kijiye jama-e-diba-talab dil to kare hai mudam daman-e-sahra-talab kaam rawa hon bhala us se hum ab kis tarah us ko tamanna nahin hum hain tamanna-talab kis se kahin kya karen hai ye tamasha ki baat wo to hai parda-nashin hum hain tamasha-talab kahiye to kis kis ke ab ghaur kare wo tabib jis ke talabgar hon lakh mudawa-talab ek tamanna ho to yar se kahiye 'nazir' dil hai pur-az-arzu kijiye kya kya talab