sab lazzaten visal ki bekar karte ho kyun bar bar nind se bedar karte ho achchha to tum ko mashq-e-masihai karni hai itna isi liye hamein bimar karte ho saya saron pe dhup mein karne ki baat thi ye nek kaam kyun pas-e-diwar karte ho kapde safed dekh ke bola ye mera jism kis jashn ke liye mujhe tayyar karte ho wada to ye ki ghar mein basaenge hum tumhein phir hum ko qaidi-e-dar-o-diwar karte ho hai ishq ke siwa bhi koi baat warna tum kyun bar bar ishq ka izhaar karte ho aisa hai kaun dil ka kharidar jis pe tum chhoti si is dukan ko bazar karte ho hum to tumhaare qabza-e-qudrat mein hain to phir itna qarib kyun meri sarkar karte ho dildar dil se lag ke khade hon to kis liye duniya ki ot se mera didar karte ho 'ehsas' hi ne tum ko banaya hai baadshah 'ehsas' hi ko randa-e-darbar karte ho