kis ki mahfil se uth ke aaya hun apne ghar mein hun aur tanha hun tu meri zindagi ki sham na ban main teri subh ka ujala hun chand mein bastiyan basa lena mujh ko dhundho ki main bhi duniya hun jaan-e-imroz raunaq-e-farda koi samjhe mujhe to kya kya hun kaise jhutlaegi mujhe duniya main ki haalat ka taqaza hun meri khushbu se bas rahe hain chaman main har ek shakh-e-gul se paida hun ye jahan mazra-e-tamanna hai aur main hasil-e-tamanna hun