lafzon mein aasani rakh

lafzon mein aasani rakh
she'r magar ‘irfani rakh

itna dhoka chalta hai
aankhon mein nadani rakh

pahle-pahal sab achchha tha
kuchh kuchh yaad purani rakh

dhyan hata ab honton se
qadmon par peshani rakh

kuchh bhi nahin hai manzar mein
aankhon mein hairani rakh

bhuk aur pyas na mitne pae
itna dana pani rakh

sa se kaam chala lunga
re ga ma pa dha ni rakh

halke halke qadam badha
sar par be-samani rakh

har shai mein maujud hai jo
us ki ek nishani rakh

'amit' bulae wo har bar
itni aana-kani rakh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close