main birha ki nar jise har pani ras nahin

main birha ki nar jise har pani ras nahin
tu thanda mitha hai lekin mujh ko pyas nahin

yun sunte hain jaise khwabon ki aawaz ho tum
yun baithe hain baithe hone ka ehsas nahin

sare sikkon par hai donon jaanib tera naqsh
aise mein to jhagda hi mumkin hai toss nahin

koi jaan se pyara rishta jab aazar bane
bas thoda sa nakhun kata jae mas nahin

main ne bagh lagaya is mein phul aur phal to hain
duniya ke talwe sahlane wali ghas nahin

koi dhadkan jaisa shakhs achanak chhode sath
ghussa kar lena par apne dil ka nas nahin

tu hai mere dil se lipti phulon wali bel
khushbu jaisi beti tu ummid hai yas nahin

in aadhi baaton ne pure sher banae hain
ab jin ke baqiya aadhe ki bilkul aas nahin

himmat hai to hijrat kar is duniya-dari se
ghar ko jangal kar dena koi ban-bas nahin

har khushbu ko un par zaea hote dekha hai
jin ki qismat mein apni mitti ki bas nahin

ye jo andar giraate rahte hain in ko bandh
duniya wo haddi hai jis par koi mas nahin

is lafzi sairabi ko bebas ki chikh samajh
kuchh pyason ko kahna pad jata hai pyas nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close