par-e-jibril bhi jis rah mein jal jate hain hum wahan se bhi bahut dur nikal jate hain mahfil-e-dil ko hai mange ke ujale se gurez dip daghon ke sar-e-sham hi jal jate hain saf ud jata hai khasan-e-kharabaat ka rang hum wo mai-khwar hain pi pi ke sambhal jate hain ek haqiqat hi haqiqat hai azal ho ki abad waise afsanon ke unwan badal jate hain dekhiye naqsh-e-kaf-e-pa-e-wafa ka eajaz raste dudh ke manind ubal jate hain zindagi asl mein tamir-e-mohabbat hai 'hayat' de ke hum dahr ko paigham-e-amal jate hain