kis liye phirte hain ye shams o qamar donon sath kis ko ye dhundte hain barhana-sar donon sath kaisi ya-rab ye hawa subh-e-shab-e-wasl chali bujh gaya dil mera aur sham-e-sahar donon sath baad mere na raha ishq ki manzil ka nishan mit gae rah-rau o rahguzar donon sath ai junun dekh isi sahra mein akela hun main rahte jis dasht mein hain khauf-o-khatar donon sath mujh ko hairat hai shab-e-aish ki kotahi par ya khuda aae the kya sham-o-sahar donon sath us ne pheri nigah-e-naz ye malum hua khinch gaya sine se tir aur jigar donon sath gham ko di dil ne jagah dil ko jagah pahlu ne ek goshe mein karenge ye basar donon sath is ko rokun main ilahi ki sambhaalun us ko ki tadapne lage dil aur jigar donon sath naz badhta gaya badhte gae jun jun gesu balki lene lage ab zulf o kamar donon sath tujh se matlab hai nahin duniya o uqba se gharaz tu nahin jab to ujad jaen ye ghar donon sath baat sunna na kisi chahne wale ki kabhi kan mein phunk rahe hain ye guhar donon sath aandhiyan aah ki bhi ashk ka sailab bhi hai dete hain dil ki kharabi ki khabar donon sath kya kahun zohra o khurshid ka aalam ai 'nazm' nikle khalwat se junhi waqt-e-sahar donon sath