kis lutf se mahfil mein biThae gae hum log

kis lutf se mahfil mein bithae gae hum log
kya raaz tha khatir mein jo lae gae hum log

shamen teri yaadon ki jalae gae hum log
ashkon ke khazane the lutae gae hum log

sar naqsh-e-kaf-e-pa pe jhukae gae hum log
yun rasm-e-wafa un se banae gae hum log

ghairon ne murattab kiye afsane sitam ke
afsanon ke unwan banae gae hum log

hain morid-e-ilzam hamin teri nazar mein
duniya ki khataon pe satae gae hum log

go hum na rahe rah gaya afsana hamara
mazi ki tarah ho gae aae gae hum log

hum mit gae duniya se to samjhi hamein duniya
khoe gae hum log to pae gae hum log

achchhe rahe wo log jo bande the hawas ke
aadab-e-mohabbat mein mitae gae hum log

kuchh aise gire 'saif' nigahon se hum un ki
jis bazm mein bhi pahunche uthae gae hum log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close