sukhan-war hun sukhan-fahmi ki lazzat bant deta hun main apne sher ko khushbu ki surat bant deta hun faqat apne liye kuchh bhi kabhi rakkha nahin main ne main auron ke liye apni zarurat bant deta hun unhen majbur kar deti hai khud se pyar karne mein main logon ke dilon mein mohabbat bant deta hun faqat do-bol hi chahat ke duniya ki zarurat hain main logon ke dilon mein ye masarrat bant deta hun bahut mumkin hai ye bhi ek din nazuk-badan nikle main patthar ko bhi shishe ki nazakat bant deta hun mohabbat nam hai dushman ko bhi dil se lagane ka main apne pyar se duniya mein hairat bant deta hun yahi aadat to hai 'sadi' sukun-e-qalb ka bais main nafrat bhul jata hun mohabbat bant deta hun