kisi ke dast-e-inayat ka wo diya hun main jala diya hai kisi ne sulag raha hun main dayar-e-lutf mein aisa shikasta-pa hun main lipat ke kanton se roe wo aabla hun main mujhe meri hi riayat ne kar diya mahrum pakad pakad ke jo daman ko chhodta hun main mujhi mein kaun khata hai ki jo kisi mein nahin ek aadmi hun yahi bas na aur kya hun main thake hue hain mere hausle kahan chal ke zara sa ruk ke yahan sans le raha hun main sanam-kadon ki na pad jae har jagah buniyaad jigar ke tukde zamin par bikherta hun main gaya to bhul gaya koi dard-e-zakhm ka haal wo kashmakash hai ki gham se lipat raha hun main