meri aawaz sun kar zindagi bedar ho jaise teri aawaz ka saya ufuq ke par ho jaise tulu-e-subh ka manzar mere andar hai khwabida mere andar zamanon ki hasin takrar ho jaise main har diwar ke donon taraf yun dekh leta hun mera hi dusra hissa pas-e-diwar ho jaise shajar ki tahni tahni mein hain kitne raaz poshida har ek jangal ka har ek ped pur-asrar ho jaise abhi hum ghumte phirte hain be-samti ke jangal mein hamara zindagi bhar ka safar be-kar ho jaise main gahre paniyon mein dubta 'anjum' jazira hun meri duniya parindon ki hasin chahkar ho jaise