macha hua hai khudaon ki an-kahi ka shor magar wo gunj ki kha jaegi sabhi ka shor tamam raat mahakta tha us ki table par gulab-e-taza ki khushbu mein february ka shor shajar ki tab-e-samaat pe dad banti hai ye sunta aaya hai sadiyon se aadmi ka shor ai na-khudao samundar ko mat suna dena hamari naw mein asbab ki kami ka shor bade saliqe se aa kar qaza ne chat liya zamin ke sahn mein barpa tha zindagi ka shor bas ek bar zamane ke dar pe dastak di ab aise kaun machae ghadi ghadi ka shor