koi arman mere dil ka nikalne na diya shokhiyon ne teri fiqra bhi to chalne na diya pai-ba-pai tir-e-nazar aae sanbhalne na diya chandni chauk se bismil ko nikalne na diya jab sisakne ka nahin hukm tadapna kaisa itna arman bhi qatil ne nikalne na diya bazm-e-hasti mein abhi aa ke to hum baithe the yun ajal aai ki zanu bhi badalne na diya shab-e-furqat se ho hasil mujhe kis tarah najat sakht-jaani ne mera dam bhi nikalne na diya rahm kar parda-e-fanus se ai shama nikal is qadar zulm ki parwanon ko jalne na diya ye dabaya qad-e-mauzun ne tere tuba ko bagh-e-firdaus mein bhi phulne phalne na diya khub nazzara-e-qatil raha 'akbar' tah-e-tegh hath ruk ruk gaya taqdir ne chalne na diya