kis qadar dushwar tha ye masala hal kar diya ek sargoshi mein us ne mujh ko pagal kar diya jaane ye tasir hathon mein kahan se aa gai itifaqan us ko chhu kar main ne sandal kar diya jin ki jumbish par kabhi tha waqt ka dar-o-madar waqt ne dhundla unhin aankhon ka kajal kar diya qaede qanun sare rakh diye baala-e-taq hum ne is duniya ko insanon ka jangal kar diya dur kar paya na jab tarikiyan koi 'sharar' aakhirash apne qalam ko main nai mashal kar diya