na mah ne kaund bijli ki na shoale ka ujala hai kuchh is gore se mukhde ka jhamkada hi nirala hai wo mukhda gul sa aur us par jo naranji do-shaala hai rukh-e-khurshid ne goya shafaq se sar nikala hai kan-ankhiyon ki nigah gupti ishaarat qahr chitwan ke jo wun dekha to barchhi hai jo yun dekha to bhaala hai kahin khurshid bhi chhupta hai ji barik parde mein utha do munh se parde ko bada parda nikala hai khule baalon se munh ki raushni phuti nikalti hai tumhaara husn to sahab andhere ka ujala hai na jhamken kis tarah kanon mein us ke husn ke jhumke idhar bunda udhar jhumka idhar bijli ka baala hai 'nazir' us sang-dil qatil pe dawa khun ka mat kar miyan ja tujh se yan kitnon ko us ne mar dala hai