le kar koi paigham kabutar nahin aate ab gham bhi tera rup badal kar nahin aate kuchh boriyan aisi hain jo beron se ladi hain par un pe kisi or se patthar nahin aate har subh to khilte nahin nargis ke hasin phul har roz to gulshan mein payambar nahin aate har shakhs liye phirta hai hathon mein saron ko hathon mein nazar ab kahin khanjar nahin aate bimar kahin ho na padosi chalo dekhen ab raat mein us samt se patthar nahin aate qad apna badha lete hain baisakhi laga kar jo log mere sar ke barabar nahin aate uth jate hain be-sakhta panw teri jaanib hum dar pe tere soch-samajh kar nahin aate darwaza bhula deta hain ek din unhen 'ishrat' jo log ki raaton mein bhi ghar par nahin aate