kis samt ja raha hai zamana kaha na jae ukta gae hain log fasana kaha na jae apna makan ujad ke sahraon ki taraf wo shakhs kyun hua hai rawana kaha na jae lamhon ki tarah guzri hain sadiyan to bar-ha ek pal bana hai kaise zamana kaha na jae shoale bane hain lafz to kanta hui zaban ab kya karen jo tera fasana kaha na jae hai aankh ufuq pe barf ki surat jami hui shab hogi kab sahar ka nishana kaha na jae kahne ko ye ghazal hai magar kya ghazal jise nauha kaha na jae tarana kaha na jae