sar uthaegi agar rasm-e-jafa mere baad mujh ko dhundega mera dasht-e-ana mere baad apni aawaz ki surat mein rahunga zinda mere parcham ko udaegi hawa mere baad apne kuche se chale jaane pe majbur na kar kis se puchhega koi tera pata mere baad itni ummid to hai apne pisar se mujh ko meri turbat pe jalaega diya mere baad ishq duniya pe inayat kiye jata hai kis ko karne hain ye sab qarz ada mere baad phul sahra mein khilae hain 'munawar' main ne taki mahki rahe kuchh der faza mere baad